Namskar Dosto
Swagat hai aap sabhi logo ka hamare youtube channel TechnoBanking me. Dosto aaj ke is video me hamne bataya hai ki internet banking aur mobile banking kya hota hai aur mobile banking aur internet banking me kya antar hota hai.
Difference between Internet Banking and Mobile Banking……
*Jaise ki internet banking me aap transaction unlimited kar sakte hai jabki mobile banking me transaction ki per day ki limit hoti hai.
*Internet banking bank ki website ke dwara hota hai jabki mobile banking app ke through hota hai.
*Aur bhut sare banks me internet banking on karne ke baad hi mobile banking facilities dete hai.
*Mobile banking internet banking ki tulna me jyada aasan hota hai. Isiliye aajkl mostly log mobile banking ka use karte hai.
*Mobile banking apne phone me hi ho jata hai jabki internet banking ke liye jyadatar pc ya laptop ki jarurat padti hai.
*Internet banking ke through aap kisi bhi website par jakr shopping kar sakte hai jabki mobile banking me jitne shopping app ya website link hogi unse hi shopping kar sakte ho.
*Mila-jula kar agar kaha jaye to internet banking me aapko facilities jyda milti hai but yeh thoda sa difficult hota hai, Jabki mobile banking ke through almost internet banking jitne hi work kar sakte ho aur yeh kafi simple bhi hota hai.
#mobilebanking#internetbanking#difference
Tnx for watching…….
Plz Hit LIKE button do SHARE and SUBSCRIBE to TechnoBanking.